Introduction Flashcards
Ilm ul Balaghat kya ha? (Qalame Baleegh ki Ta’reef.)
Ilm ul balagha chand aese qavaid aur qavaneen ka nam ha jinke zariye insan muqtada e hal ke mutabik qalam krna seekhta hai.
Muqtadha-e-Hal se kya Murad ha?
Muqtada e Hal se murad qalam ka takaza. Goya mojoda halat kis tarah ke qalam ka takaza krte hai. Aik insan ka qalam us waqt baleegh kehlaya jata ha jab wo muqtada e hal ki riayat krta ho.
Ilm ul Balaghat ki kitni aqsam ha aur unki mukhtasar tareefat kya ha?
Ilm ul Maani: In qawaid ki riayat krne se kalimat aur kalam ka bamooqa iste’mal krna ajata ha. aur ahwaal aur uske muqtadayaat ka ilm ilm e maani se hasil hota he
Ilm ul Bayaan: In qawaid ki riayat krne se ek mazmoon ko kai asaalib aur kai tariko se aap bayan kar sakte he.
Ilm ul Badee’: In qawaid ki riayat krne se qalam ki tamam lafzi aur manvi khoobion se waqfiyat hasil hoti ha.
Fasahat aur Balaghat me farq kya ha?
Fasahat balaghat hi ka aik juzw ha, jab qalimat tanafure huroof, mukhalifate qiyas aur gharabat se door ho to un qalimat ko faseeh kehte ha. Aur jab un qalimat ko muqtada-e-hal ke mutabik istemal kiya jae to wo qalam faseeh aur baleegh kehlata ha.
Fasahat e kalimat:
Tanafure Huroof ki ta’reef kya ha?
Tanafure Huroof kalimat ka aesa wasf ha jo unki adaegi ko zaban par dushwar krdeti ha.
Fasahat e kalimat:
Mukhalifate qiyas ki ta’reef kya ha?
Mukhalifate Qiyas se murad qalimat ka qanoon e sarfi ke khilaf hona ha.
Fasahat e kalimat:
Gharabat ki ta’reef kya ha?
Gharabat se murad kisi qalam ka manoos ul iste’mal hona ha aur majhool ul ma’na hona ha.
Fasahat e Qalaam:
Qalam me Fasahat ke kya takaze ha?
Kisi bhi Qalam ke faseeh aur baleegh hone ke liye zaroori ha ke wo ijtimai tor par tanafure e Qalaam se bari ho, yonhi us qalam me koi dhohfe taleef aur taqeede lafzi ya taqeede manvi na ho.
Agar Qalam me in uyoob me se koi aib paya jae to wo Faseeh nahi hoga
Fasahat e Qalaam:
Tanafure Qalam se kya murad ha?
Tanafure kalaam se muraad ye he ke us kalaam me eise kalimaat ho jinn ke jamah hone ki wajah se uski adaigi zabaan par bhari ho jaey aur bolna mushkil ho jaye.
Fasahat e Qalaam:
Dhohfe Taleef se kya murad ha?
Dohfe taleef ye he ke kalaam kisi mashoor nahwi qanoon ke khilaaf ho aur us kalaam me kisi mashoor nahwi zabte ki khilaf varzi ki gayi ho.
Fasahat e Qalaam:
Taqeed e Lafzi se kya murad ha?
Taqeed e lafzi ye he ke baaz alfaaz ko apni durust halat se muqaddam kiya ho, baaz muakkhar ho aur baaz ke darmyaan fasila laya gaya ho.
Fasahat ka lughwi aur istilahi ma’na?
فصاحۃ المتكلم ملكۃ يقتدر بھا علی التعبير عن المقصود بكلام فصيح في أيّ غرض كان.
Fasahat ka lughat me murad zahir aur wazeh ha jabke istilah me batore wasf Kalima, Qalam aur Mutakallim ke liye iste’mal hota ha.
Fasahat e Qalaam:
Taqeed e Manvi se kya mu rad ha?
Se muraad ye he majaz aur kinaya ke istemaal se kisi lafz ke maina me poshidgi agayi ho aur kalaam ka muraadi maina samajh me na aey, yani kisi lafz se majazan bht baeed maina liya gaya ho ya kisi lafz se kinaya esa kiya ho jo bht baeed ho.
Jese ke ek qol he:
” نشرالملك ا لسنۃ”
“Badshaa ne pheladiye apni jasooso ko shehr me”
Goya Taqeed e Manvi ha ke aik aesa kinaya murad liya jae jo boht ba’eed ho.
Fasahat e Mutakallim:
Fasahat e Mutakallim se kya morad ha?
Fasahate mutakallim ek eisa malaka he jisske zariye insaan apne mainaey maqsood ko fasih kalaam ke zariye bayaan karni ki qudrat hasil karta he.
Jisme ye Maliqa paya jaega wo faseeh kehlaega.
Balaghat ka lughwi ma’na kya ha?
lughvi tor par balaghat pohonchne aur intiha ko kehte he masalan kaha jata he ke “بلغ فلان مراده”