Ilm ul Maani: الكلام علی الخبر Flashcards
Ilm e Maani ki kya tareef ha?
Ilm ul Maani chand aese qavaid ka ilm he ke jinka lehaz rakhne insan Qalima aur qalam ka bamoqa iste’mal krna samajh jata ha. Yonhi Ilm e Maani ahwaal aur unke muqtadayaat ka ilm deta ha jis ke zariye insan muqtadae hal ke mutabiq qalam kar sake
Khabar aur Insha me kya farq ha?
Ilm e nahv me hamne sikha ke jumla khabriyya wo jumla hota ha ke jiske kehne wale ko ham jhota ya sacha kehsake (Zaidun Qaimun).
Jumla inshaiyya ki nahv me 12 aqsam thi aur iski ta’reef ye ha ke ye wo jumla ha jis ke zariye insan kisi ko sadiq ya qadhib nahi keh sake.
Jumle ke do arqan konse ha?
1: Mahqoom Alaih: jiss ki taraf khabar me mazkoora hukm ki nisbat ki jaey, iska doosra naam musnad ileih he yani fael, naib ul fael aur mubtada ki qissm e avval yani vo mubtada jisski khabar ho iske tehet bhi dakhil he.
2: Mahqoom Bihi:
mahkoom bihi jisko musnad bihi bhi kaha jata he aur ye vo rukn he jisski mahkoom aleih ki taraf nisbat ki jaey.
Jumle me ye Fel, khabar ya wo mubtada (Qisme Thani) hota ha jisko uska rafa kifayat krta ho.
Mubtada ki qisme thani se kya murad ha?
Jiska Rafa use Kifayat krta ho.
{Ma qaimun Zaidun}
Qaimun isme fail ka seegha ha, hamne seekha tha ke agar qaimun isme fail ke qabl harfe nafi ajae ya harfe istifham ajae to ye apna fe’l wala amal krta ha. Goya ye apne ma’bad fail ko rafa aur mafool ko nasab bhi deta ha.
Aqaimun –> Khabre muqaddam (Mubtada ki qisme thani) Musnad
Zaidun –> Musnad alaih Mubtada
Jumla Fe’liya me Istimrar e Tajaddudi kya ha?
Jumla Fe’liya kabhi to istimraar tajaddudi ka bhi faida deti he yani baar bar ek fel waqe hone ka bhi faida de raha hota he bashartake is jumla feliya me istemal hone vala fel sighaey mazi ka na ho balke mudare ho.
Jumla Ismiyya me Istimrar e Tajaddudi kya ha?
Agar qarain mojood ho to jumla ismiyyah bhi istimraar tajaddudi ka faida de deta he magar shart ye he ke jumla ke mubtada ki khabar me ism hi ho na ke fel, jese ke العلم نافع yani ilm nafa baksh he ab ilm ki ifadiyyat koi waqti aur aarzi nahi balke istimraari he.
Khabr ke aghraz konse ha?
1: Istirham
2: Izhar e Dhohf
3: Izhar e Tahassur
4: Izhar ul Farah
5: Izhar e Suroor
6: Tobikh
Istirham se kya morad ha?
Khabr kabhi rahmat aur shafqat bayan krne ke liye ata ha jese Hazrate Moosa ka qol:
رَبِّ إِنِّي لِمَا أَنزَلْتَ إِلَيَّ مِنْ خَيْرٍ فَقِيرٌ
Izhar e Dhohf se kya morad ha?
khabr kabhi izhaar e doh ke liye lai jati he jese hazrat zakariyya عليه السلام ka qol:
“aey mere rabb meri haddiyan kamzoor ho gayi he”
Izhar e Tahassur se kya morad ha?
khabar kabhi izhaar e tahassur yani hasrat o afsoos ke izhaar ke liye aati he
Izhar ul Farah se kya morad ha?
kabhi khabar achi chiz ke mil jane aur buri chiz ke chale jane ke liye lai jati he jese:
Jaa al Haqq wa Dhahaqal Batil
Izhar e Suroor se kya morad ha?
Kabhi khabr izhaar e suroor ke lai jati he jese:
اخذتُ جاءِزۃِ التقدُم
(Maine Taraqqi ka inaam paya)
Tobikh se kya morad ha?
Aur kabhi khabr zajjr o tobikh ke liye ati he jese kisi girne vale se kehna ke الشمس طالعۃ